How To Hindi
Latest Mobile
Latest Smartphones Review
Old Posts
Technical Knowledge Hindi
Tips & tricks
Tips & Tricks Hindi
How to Speed up Android Phone 2022 ? मोबाइल की स्पीड कैसे बढ़ाएं।
How to Speed up Android Phone 2022 ? एंड्राइड फ़ोन का फास्ट कैसे बनाये 2022?
Hello friends aaj mai aapko bataunga ki apne android phone ki spped kaise badhaye. Aapke android phone ke speed slow hone ka sabse bada karan yah hai ki ho sakta hai ki aapke phone me storeage space kam ho gya ho. isliye sabse jaroori baat yah hai ki apne phone ko slow hone se bachane ke liye paryapt internal storage space khaali rakhe. RAMpar bhi aapke phone ka speed depend karta hai. isliye aapke phone me paryapt RAM bhi khaali hona chahiye.
Mobile ki speed slow ho jaane se aapka mobile hang hone lgta hai. agar aap apne mobile ke slow ho jaane se pareshan hai to main aapko kuch aise tarika ke baare me batane jaa rha hun jisase aap apne mobile ke speed ko bdsha sakte hai.
Mobile ki speed slow ho jaane se aapka mobile hang hone lgta hai. agar aap apne mobile ke slow ho jaane se pareshan hai to main aapko kuch aise tarika ke baare me batane jaa rha hun jisase aap apne mobile ke speed ko bdsha sakte hai.
Kisi Bhi Android Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye ?
(1) Delete Unnecessary Files-
apne mobile se unn files ko delete kaijiye jo aapke kisi kaam ke nhi hai. agar aapke phone ke internal storage me kuchh files aise hai jo aapke liye important hai. to usko aap kisi external memory card me save kar lijiye. kosish kijiye ki aapke phone me kam se kam 1GB tak internal memory free rahe.(2) Clearing Your Cache-
sabse pahale Setting me jaye. fir Storage me jaana hai. iske baad internal storage par click kijiye.
aapko cached data likha hua dikhega. bs uss Cached data ko delete kar dena. isase aapke android phone ki speed badh jayegi.
Setting > Storage > Internal Storage > Cached data
(3)Extra Apps ko uninstall kare-
Mobile me bahut jyada app install hone ke wajah se bhi phone slow ho jata hai. jin app ka use nhi karte hai unko uninstall kar dijiye.(4)Android Software Update kare
Setting > About phone > Software update me jaaye.agar software update available hai to use update kar lijiye. Isase aapke phone ki speed fast ho jayegi.
(5) Clean Storage & RAM-
apne phone ke smart manager me jakar storage aur RAM ko clean kijiye. isase aapko android phone ki speed badhegi.
(6) Auto synchronize off kare-
Setting > accounts me jaye aur auto-sync data ko off kar dijiye.kyoki jab bhi aapke phone me internet data ON hota hai, to Auto synchronize hota rahata hai. aur ye aapke mobile phone ke speed ko slow karta hai.
(7) Space Cleaner & Antivirus-
Apne phone se junk file ko remove karne ke liye aap clean master App ka use kar sakte hai. yah aap space cleaner aur anti virus dono kaa kaam krta hai. Clean master ka use karke aap apne mobile ki speed ka badha sakte hai.(8)Factory data reset karke-
Factory data reset karne se aapke mobile ke sabhi files aur data delete ho jayega. aapka phone ki setting bilkul naye phone ke jaisa ho jayega.Iasase aapka phone reset ho jata hai. aur aapke phone ka saare data delete ho jayega . isliye Factory data reset karne se pahale apne contact, important Apps, Messages, Pictures ka backup bana lijiye.
backup banane ke liye liye aap backup App ( Super Backup & Restore App ) ka use kar sakte hai.
# How To do Factory Resetting ?
Aur apne sabhi dusare Important files ko external memory me save kar lijiye.# Factory Resetting ke liye Setting me jayen. fir 'Backup and Reset' par click kijiye. iske baad aapko 'Factory Data Reset' ka option dikh jayega.
Setting > Backup and Reset > Factory Data Reset
Iss tarh se aap apne mobile phone ko fast kar sakte hai.
Before Factory Data Resetting -
(i)Back up your contacts, important Apps, Messages, Pictures
(ii)Save Important files in External memory Card.
Ab aapne jaan liya ki android phone ko Fast kaise kare. mujhe ummid hain ki aap inn tarika ka use karke apne android mobile phone ka speed jaroor badhaa payenge. agar aapka android phone ki speed badhane ke related koi sawaal ho to neeche comment kar sakte hai.
Tags: Increase android phone speed, How to speed up smart Phone, mobile phone ki speed kaise badhaye, mobile ki speed ko fast kaise kare.
0 Comments: